Showing posts with label NAZAM. Show all posts
Showing posts with label NAZAM. Show all posts

Wednesday, 19 February 2014

Maan liya sach kehti ho

Maan liya sach kehti ho..
Mujh se Mohabat karti ho..
Meray khawabo'n ki duniya mein rehti ho..
Meri Yaad ke Aalem...
Door Khilaa mein...
Akser takti rehti ho..
Din socho'n mein kat jata hai..
Raat ko neend nahi ati..
Ek Ek tara ginti ho..
Ye bhi sach hai...!!
Apney Hussn ki barish se..
Meri zeest ka sehra..
Jal-Thal ker do ge..
Jeevan bhar sukh banto ge..
Lekin.......!
Aye masoom Larki !!
Main bebus hoon..
Chahoo'n bhi to...
Sath tumara dey nahi sakta..
Meray Dukh ki Duniya Tanhaa..
Meray Sukh ki Bat alag hai..
Kis Omeed pe, Kis Barta (Barta= Bharosa)  per..?? 
Mera Daman thamo ge..
Meray hath ki toti-photi..
Tirchi Lakire'n ghaor se dekho..
!.inn mein Tumara naam nahi hai....!

Chalo Ik Or Dunya Mein Tumhare Saath Chaltey Hain

Chalo Ik Or Dunya Mein
Tumhare Saath Chaltey Hain,

Jahan Halaat kuch Bhi Hoon
Magar Hum Saath Rehtey Hoon,

Jahan Mousam koi Bhi Ho Judai ka Na Ho Lekin,

Jahan ka Chaand Bhi Tum Ho,

Jahan Sooraj,
Hawa,
Khushboo,
Or Gullon ka Rang Tum Se Ho,

Jahan Per Dil Dharkney ka Her Ik Ehsas Tum Se Ho,

Jahan Per Merey Jeeney ki
Saari Aas Tum Se Ho,

Chalo Ik Or Dunya Mein
Tumharey Saath Chaltey Hain..!!

Chalo tum theak kehtay ho

Chalo tum theak kehtay ho
Muhabbat aur syaasat main,
Sabhi atwaar jaayiz hain,
Chalo hum maan letay hain,
Magar ye jang kaisi hai,
Tum hi mere muqabil ho,
Chalo hum jeet ki khawahish,
Tum hi pe waar detay hain,
Dhanak k pull pe chal k hum,
Gagan k paar jaatay hain,
Chalo hum haar jaatay hain...!

Tum ne apni chahaton ka iqrar manga hai to suno!

Tum ne apni chahton ka iqrar manga hai
to suno!
Dil k sache jazbe
izhar k muhtaj nahi hote
ye to wo jazbe hain jo jugnu ban ker ankhon mein chamkte hain
honton k narm goshon mein reh k
dil mein baste hain
tum mujh mein isi tarha samaye huye ho
k jaise
phool mein khushbu
taron mein chamak
titli mein rang
mera tumhara rishta atoot hai
jism.o.jan ka hai
jo jura rahe to zindagi
or toot jaye to moot.

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai,
Yah tou khawb hai,kisi aankh ka,
Jissay jaagnay ki saza mili,
Yeh jo chaand hai,yeh azaab hai,
Woh azaab,
jis ney mila dia hai gulaab lamhon ko khak mein,
Yeh jo chaand hai,yeh jawaab hai,
Kisi is tarah kay sawaal ka,
Kah jo aaj tak na utha kabhi kisi zahn mein,
Yeh jo chaand hai,
Yeh tou baab hai kisi dard ka,
Kisi hijr ka,kisi wasl ka,
Kisi zard zard si fasl ka,
Yeh takha thaka sa jo chaand hai,
Kabhi ban paray tou yeh is sey pooch k dekhna,
Issay gahri gahri si neend sey,
Bhala kis ney aa kay jaga diya?
Issay rog kis ney laga diya.....?