Showing posts with label Chahat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Chahat Poetry. Show all posts

Tuesday, 7 July 2015

Jo seenay main dharakta hay

Jo seenay main dharakta hay mujhay Wo dil na do Lekin
Jo chahat us k andar hay, Wo meray naam tum kar do


Monday, 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Friday, 23 January 2015

Wo mujh say door rah kar khush ha

Wo mujh say door rah kar khush ha to rahnay do usay
Mujhay chahat say zada us ki muskurahat pasand hay


Thursday, 2 October 2014

Ehsaas-e-Muhabbat k liye

Ehsaas-e-Muhabbat k liye hum itna hi kahtay hain
Teray bhagair bhi hum teray hi rahtay hain


Us ki chahat kay do lamhay

Us ki chahat kay do lamhay jaan lewa thay
Pehla mohabbat ka iqrar dusra mohabbat say inkar


Sunday, 28 September 2014

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha
Door rah kar tujhay kuch aur bhi ziada chaha
Yaad ayi hay teri aur bhi shiddat say humain
Bhool jaanay ka tujhay jab bhi iraada chaha


Thursday, 25 September 2014

Koi pal ho tere sath ka

Koi pal ho tere sath ka, meri umer bhar ko samait lay
Mainf fanna baqa k sabhi safar usi ek pal main guzar don



Friday, 22 August 2014

Tuesday, 8 July 2014