Wednesday 8 October 2014

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say baar baar
Bhala raat chupa sakti hay, hussan chaand ka


Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna

Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna 
Ansoo ko to aankh main bhi jagaa nahi milti


Saari zindagi rakha hay

Saari zindagi rakha hay Be-Faiz rishton ka barham
Sach pocho to koi bhi apnay siwa apna nahi hota


Kiun hota hay ye aitbaar ki dahleezon pay

Kiun hota hay ye aitbaar ki dahleezon pay aksar
Jo bhohat apnay hoon wohi apnay nahi rahtay



Barsoon baad mila

Barsoon baad mila our mera naam tak bhool gaya 
Bicharty wakt jis nay kaha tha tum bhohat yaad ao gay


Thursday 2 October 2014

Nayaab ankhon ka ye matlab to nahi

Nayaab ankhon ka ye matlab to nahi
Kay tum jis ko bhi deikho, usay barbaad hi kr do



Ehsaas-e-Muhabbat k liye

Ehsaas-e-Muhabbat k liye hum itna hi kahtay hain
Teray bhagair bhi hum teray hi rahtay hain


Wo meri akhri sarhad ho jaisay

Wo meri akhri sarhad ho jaisay
Soch jati hi nahi uss say agay


Us ki chahat kay do lamhay

Us ki chahat kay do lamhay jaan lewa thay
Pehla mohabbat ka iqrar dusra mohabbat say inkar


Muje bikhra hi rahnay do

Muje bikhra hi rahnay do meray muqqadar ki trah
Main koi teri zulf tu nahi jo sanwwar jaon ga



Facebook Covers


Facebook Cover