Sunday, 28 September 2014

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha
Door rah kar tujhay kuch aur bhi ziada chaha
Yaad ayi hay teri aur bhi shiddat say humain
Bhool jaanay ka tujhay jab bhi iraada chaha


Mohabbat main nahi hay shartt

Mohabbat main nahi hay shartt milnay ya bicharnay ki
Ye un khud gharz jazzbon say bhohat agay ki dunia hay


Teray baad kon rukay ga humay

Teray baad kon rukay ga humay
Hum khud ko jee bhar k barbaad krain gain


Sirf chehray ki udaasi

Sirf chehray ki udaasi say nikal aye anso
Dill ka alam to abhi us nay deikha hi nahi tha


Dushman ho to ishq jaisa

Dushman ho to ishq jaisa
Seedha dill pay waar karay


Facebook Covers


Thursday, 25 September 2014

Koi pal ho tere sath ka

Koi pal ho tere sath ka, meri umer bhar ko samait lay
Mainf fanna baqa k sabhi safar usi ek pal main guzar don



KHUDA hi janta hay meri paak mohabbat

KHUDA hi janta hay meri paak mohabbat ka alam
Kay mujhay jenay k liye sanson ki nahi tumhri zarort hay


Channd masoom say patton ka

Channd masoom say patton ka laho hay bas
Jis ko mahboob kay hathon ki hina kahtay hain





Friday, 19 September 2014

Ruswai kay dar say us nay ki na mohabbat

Ruswai kay dar say us nay ki na mohabbat hum say
Lkin sach to ye hy k us ki mohabbat nay bht mazbot kia hy humy


Main chupky se uski ankhon pe hath rkh k pchon btao kon?
Wo muskura kar dheemay say kah day "Meri Zindigi"...


Aay zindagi kuch to bata

Aay zindagi kuch to bata
Kiya hay meri khatta


Chehray ka nisf hissa

Chehray ka nisf hissa zair-e-naqaab kar kay
Hussan walay kartay hain deedar main milawat



Kiya dhondtay ho tum ishq ko

Kiya dhondtay ho tum ishq ko in raaahon main ajnabi
Yeh khud hi dhoond leta hay jisay brbaad karna ho



Thursday, 11 September 2014

Kisi ek say karo piyaar itna

Kisi ek say karo piyaar itna
Kay kisi aur say piyar krny ki gunjaish na rahay
Wo muskura day ap ko deikh kar ek baar
Toh zindagi say phir koi khuaish na rahay


Es trah phaila huwa kajal

Es trah phaila huwa kajal
Matlab... main ab bhi yaad ata hon



Thursday, 4 September 2014

Mana k tum haseen ho

Mana k tum haseen ho magar is qadar nahi
Jitna k meri deed ne tum ko bana diya



Sari Zindagi main

Sari Zindagi main 
Ek Pal to aisa ho
Jo sirf Tumhra or mera ho 
Jis main koi Teesra na ho
Hum dair tak 
Ek Dosray say
Batain kartay chalay jain
Or un baton ko
Sunnay wala
Or Koi na ho
Bas Main or Tum hon
Yunhi Beithay Beithay
Kisi choti si bat pay
Hum be-tahasha hans prain
Hansty hanstay ankhon say Anso nikal prain
Un Ansoon ko saf karnay wala
Or koi na ho
Bas main or Tum hon
Kash Sari Zindagi main



Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka

Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka
Aj hay sirf dard us ko khonay ka
Hum dono ka nahi tha qasoor es main
Taqdeer ka faisla tha juda honay ka


Aaj bhi bhohat sawal hain

Aaj bhi bhohat sawal hain es dil main
Piyar ka gham bayzubaan hay es dil main
Kuch kah nahi paata yeh dil magar
Us dil kay liye aj bhi piyar hay es dil main



Tuesday, 2 September 2014