Tuesday 26 August 2014

Kis qadar masoom

Kis qadar masoom, kitni shokh, lakin bay waffa
Hum nay pocha kon, wo ghabra kay bolay zindagi


Mujh main jab bolta hay janon yaar ka

Mujh main jab bolta hay janon yaar ka
Phir kahan main koi gufttugu karta hon



Chupa raha hay kisi karb ko

Chupa raha hay kisi karb ko kisi gham ko
Jo hans raha hay musalsal wo shakhs jhota hay


Dunia say kuch alag hain

Dunia say kuch alag hain meray dill kay mashghalay
Kaanton ko choomta hon, kay pholoon ka dill jalay


Us nay aik din ajeeb sawal kar dala

Us nay aik din ajeeb sawal kar dala
Martay to mujh par ho, to phir jeetay kis k liye ho





Sun kar tamaam raat

Sun kar tamaam raat meri Dastan-e-Gham
Wo muskura kay bolay bhohat boltay ho tum




Friday 15 August 2014

Wohi kajal surmay wali ankh

Wohi kajal surmay wali ankh
Wohi gehri kali kali ankh
Janay kiun sehra lagti hay
Wo dard bhari matwali ankh
Surmay main gazzab ki shoukhi thi
Kajal ki dhaar anoukhi thi
Allah! kitna tarsaati thi
Wo har dam jhuknay wali ankh
Us shakhs pay jab wo marti thi
Kehnay say phir kiun darti thi



Saray jazbay teri chahat kay

Saray jazbay teri chahat kay deikhai detay
Kash, ankhon main kahin dill bhi dharakta hota



Baithay hain rahguzar pay

Baithay hain rahguzar pay dill ka diya jalaye 
Shaid wo dard samjhay shaid wo loat aye 


Bas tum par khatam ho jata hay

Bas tum par khatam ho jata hay
Mera gussa bhi or mera piyar bhi


Paas jab tak wo rehay dard thama rahta hay

Paas jab tak wo rehay dard thama rahta hay
Phailta jata ha phir ankh kay kajal ki trah 


Saturday 9 August 2014

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain baykaar jati hain
Nazar atay ho ek lamha to pahron dill dharakta hay


Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar

Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar
Kassam jis nay khai thi mujhay barbaad karnay ki


Ishq main jeenay marnay ko hum to hain tayyar

Ishq main jeenay marnay ko hum to hain tayyar
Goli maro dunia ko khush reho na yar


Friday 8 August 2014

Sunday 3 August 2014

Chalo tum chor do hum ko

Chalo tum chor do hum ko magar itna bata do tum
Humay tum piyar karty thy? ya wakt barbaad kartay thay



Mohabbat dill ka sajda hay

Mohabbat dill ka sajda hay jo hay toheed par qaim
Nazar kay shirk walon say mohabbat roth jati hay




Ek ap kay talluq ki khatir

Ek ap kay talluq ki khatir
Dill laa talluq hay sab say


Lagti hay jin kay dill par

Lagti hay jin kay dill par, wo ankhon say nahi rotay
Jo apnon kay hi na ho paaye, wo kisi kay nahi hotay



Meri barbadi pay hasnay Walay
Aj do boond ansu baha lay
Uth chala hay Wafa ka janaza
Bewafa tu bhi kandha laga lay