Wednesday, 23 July 2014

Badnam krtay hain log shahar main

Badnam krtay hain log shahar main humy jis shakhs k nam say
Kasam say us shakhs ko kbhi hum nay jee bhar kay deikha bhi nhi





Ayaa tha imtihaan main mazmoon baywafa

Ayaa tha imtihaan main mazmoon baywafa
Wazzahat jo teri ki hum top kar gaye 



Zawwal hay kay tera saath nahi

Zawwal hay kay tera saath nahi
Kamal hay kay jee rahi hoon


Mere diye huway kangan

Mere diye huway kangan usay masrof rakhtay hain
Meray Ishq main khoye rahna uska qarqar ban gaya


Bhohat say rastay atay hain

Bhohat say rastay atay hain meray dill ki traf 
Raah-e-Khalos say ana faasla kam paray ga


Wednesday, 16 July 2014

Kabhi sath denay k waday

Kabhi sath denay k waday, kabhi bhool janay ki qasmain
Mujhay aj tak pata na chala K tu majboor hay ya maghror


Chehray say pata nahi chalta

Chehray say pata nahi chalta dill kay gahray zakhmon ka
Koi sahil pay kharra kia janay samandar kitna gahra hay



Pehlay kabhi dunia say mohabbat nahi mangi

Pehlay kabhi dunia say mohabbat nahi mangi
Ye qahhat teray hijar kay doraan para hay


Tum say na kat sakay ga

Tum say na kat sakay ga andheron ka ye safar
Ab shaam ho rahi hay, mera hath thaam lo


Saturday, 12 July 2014

Teray piyar main dard itna kiun hay

Teray piyar main dard itna kiun hay
Ye gehra ishq ka marj itna kiun hay
Jab mili thi pehli baar piyar bhohat tha tujhay
Aj dekhnay kay tere andaaj main fark itna kiun hay



Hasrat-e-deedar bhi kya cheez hay Dost

Hasrat-e-deedar bhi kya cheez hay  Dost 
Wo samnay aye to musalsal dekha bhi nai jata


Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka

Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka
Wahan say ajnabi ban kay guzar jana hi acha hay



Meray zawwal say pehlay chor gaya wo mujhay

Meray zawwal say pehlay chor gaya wo mujhay
Haseen to tha hi par zaheen kitna tha 



Tuesday, 8 July 2014

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil
Aye ishq kbhi hum ko bhi wo neend sula day (AMEEN)


Bay zabaanon ko jab WO zabaan deta hay

Bay zabaanon ko jab WO zabaan deta hay
Parhnay ko WO Quraan deta hay
Bakhshnay pay aye jab ummatt kay gunahon ko
To tohfay main gunnah garoon ko Ramzan deta hay



Honton pay kabhi un kay mera naam hi aye

Honton pay kabhi un kay mera naam hi aye
Aye to sahi barr sar-e-elzaam hi aye


Apnay ghamon ki numaish na kar

Apnay ghamon ki numaish na kar
Apnay naseeb ki yun azmaish na kar
Jo tera hay wo tere darr pay aye ga zaror
Rooz rooz usay panay ki khuahish na kar


Kashti-e-jaan to bhanwwar main hay

Kashti-e-jaan to bhanwwar main hay kai barson say
Aye KHUDA ab to dabbo day ya kinaara laa day



Seekh lo kisi ki chahat ki qaddar karna

Seekh lo kisi ki chahat ki qaddar karna
Kahin koi mar na jaye tumhay yaad kartay kartay


Alfaaz tamasha banatay hain

Alfaaz tamasha banatay hain
Chalo hum khaamosh rahtay han


Humay bhi piyar karnay ka khayal aya

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya
Jab bhi khayal aya khud ko tanha paya
Dhondtay rehay hum es dunia main dost
Kisi ko ajnabi to kisi ko baywaffa paya


Har jakham kisi thokar ki meharbani hay

Har jakham kisi thokar ki meharbani hay
Meri jindagi bas ek kahani hay
Mita detay sannam kay dard ko seenay say
Par ye dard hi uski aakhri nishani hay


Teri dosti hi meri jaan hay

Teri dosti hi meri jaan hay
Shayad ess haqiqqat say tu anjaan hay
Mujhay khud nahi pata main kon hon
Kiun kay teri Dosti mi Meri pehchaan hay


Meri zeesst ka hay ye qissa purana

Meri zeesst ka hay ye qissa purana
Tumhain yaad karna, nahi bhool pana
Meray paas a kay tera muskurana
Nazar say guzar kar, jigar main samanna
Ye ghazlain, kitabain, ye yaron ki mehfil
Tujhay bhool panay ka hain ik bahana
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nalay
Akelay main meri ghazal gungunana
Muhabbat ki khatir, zamanay say larna
Zamanay ki khatir, muhabbat bhulana


Bari bay lagaam si ho gain hain meri ankhain

Bari bay lagaam si ho gain hain meri ankhain
Teri deed kay musalsal bahanay dhondhti hain



Sunday, 6 July 2014

Main hon tujh ko jaan say azeez

Main hon tujh ko jaan say azeez, main ye kaisay maan lon
Teri Batain lagti hain waham si, tere lafz lagtay hain khuab say


Nazar andaaz karnay ki Wajah kuch to batatay

Nazar andaaz karnay ki Wajah kuch to batatay
Ab kahan kahan main khud main burai dhondon



Bas ik la-hasil si hogai hay zindagi

Bas ik la-hasil si hogai hay zindagi
Safar bhi rooz ka hay or jana bhi kahin nahi



Aj us nay aik or dard diya to yaad aya

Aj us nay aik or dard diya to yaad aya
Hum nay bhi tu duaon main us k sab dard mangay thay


Me tujh ko jaagti ankhon say

Me tujh ko jaagti ankhon say cho sakon na kabhi
Meri anna ka bharam rakh lay meray khuab may aa


Bas aik maafi, hamari toba

Bas aik maafi, hamari toba, kbhi jo ab hum satain tum ko
Lo hath joray, lo kaan pakray ab or kaisay manain tum ko



Friday, 4 July 2014

Tappash hay ye apnay gunnahon ki yaroo

Tappash hay ye apnay gunnahon ki yaroo
Meray shahar ka muasam khushgawar nahi hota
Din bhar kar kay naffratain insaan say
Kahtay hain raazi PARWARDIGAAR nahi hota



Chor kay ja rehe ho

Chor kay ja rehe ho or kahtay ho qayammat ko milain gain
Goyya ess din kay baad qayammat koi our bhi hay


Mujhay maar hi na dalay en badlon ki sazish

Mujhay maar hi na dalay en badlon ki sazish
Ye jab say barras rahay hain tum yaad a rehay ho


Thursday, 3 July 2014

US kay darr pay sukoon milta hay

US kay darr pay sukoon milta hay
US ki ebaddat say noor milta hay
Jo jhuk gaya ALLAH kay sajday main
Usay dill ka sukoon zaror milta hay