Saturday 9 July 2016

Andar bhi Zameen k Roshni ho.

Andar bhi Zameen k Roshni ho.

Mat'ti me Charag rakh dia hai.


Abdul Sattar Edhi Passed away.
''Inna Lillahe Wa Inna Ilaihe Rajeoon'' 
''Kullu Nafsin Zaiqa Tul Maut.'

A Gujarati man who left everything behind during partition and migrated to Pakistan

A Gujarati man who left everything behind during partition and migrated to Pakistan. 
An uneducated man who runs the world's largest Ambulance service and operates many nursing homes, Orphan homes and rehabs all over Pakistan. 
He passed away today at the age of 88. The best thing we could do for him and ourselves is to make sure that Edhi Foundation keep working and never stop growing. May Allah give him highest rank in Jannat.

Friday 8 July 2016

A Pakistani legend Abdus Sattar Edhi has passed away - he was 88 years old -

A Pakistani legend Abdus Sattar Edhi has passed away - he was 88 years old - 
was Pakistan's most respected face... 
I've never seen this kind of humanity throughout my life in Pak :'(

Edhi Sir no One can Take Your Place.... :(

Jis Ny Hazaron Yateemo Ko Chat Di...

Aj Wo Lakho Phir Sy Yateem Kar Gaya...

Edhi Sir no One can Take Your Place.... :(

Abdul Sattar Edhi in critical condition, put on ventilator at Karachi hospital.

Abdul Sattar Edhi in critical condition, 
put on ventilator at Karachi hospital.
May Allah give him quick and full recovery. A'ameen
Being a muslim, say Ameen.

Thursday 7 July 2016

In hi sochon mai guzar jati hain Eidein Meri.

In hi sochon mai guzar jati hain Eidein Meri.

Kia Mujhe bhol kar wo Eid Manata ho ga.

Dekho khushiyan manatay phirty hain sab Eid ki.

Dekho khushiyan manatay phirty hain sab Eid ki.

Par Hamain to Aaj bhi Aarzo hai faqat Teri deed ki.

Eid Jab Aati Hai Milne Ka Imkaan Rehta Hai

Eid Jab Aati Hai Milne Ka Imkaan Rehta Hai

Mil Kay Kya Kahenge Soch Kar Dil Pareshan Rehta Hai

EID' guzar gai or woh milny ka takaluf na kar sakay...

EID' guzar gai or woh milny ka takaluf na kar sakay...

Kitna pagal pan tha mera Sajna sanwarna Un k ly...

Kya Lutf-E-Eid Hai Tum Mujh Se Door Ho.

Kya Lutf-E-Eid Hai Tum Mujh Se Door Ho.

Guzrey Ga Roz-E-Eid Tasawwur Mein Tumhare...!!

Kabhi To Aao Tum Bhi Eid Ka Chaand Ban Kar Nazar,,

Aansoo Bahata Hoon Eid K Din,,
Teri Tasveer Dil Sy Lagata Hoon Eid K Din,,

Kho Kar Tairi Yaadoon Mein Main,,
Khud Ko Bhool Jata Hoon Eid K Din,,

Hansty Muskraty Dostoon Ki Mehfil Mein,,
Tum Bin Khud Ko Tanha Pata Hoon Eid K Din,

Sababb Koi Jo Poochhy Udasi Ka Mujh Sy,,
Khud Py Jabar Kar Muskrata Hoon Eid K Din,,

Barasoon Sy Ye Aadat Si Bana Li Hy Eid Par,,
Ro Ro Kar Dil Ko Behlata Hoon Eid K Din,,

Kabhi To Aao Tum Bhi Eid Ka Chaand Ban Kar Nazar,,
ZAHID Yahi Har Pal DUA Mangta Hoon Eid K Din............!

Eid Ke Khayal Ne Khush Tu Kar Dia Hai Lekin..!!

Eid Ke Khayal Ne Khush Tu Kar Dia Hai Lekin..!!

Ab Bhi Soch Kar Tumhein Dil Bohut Udas Hai..!!

Sabar Mera Na Aazmao Tum

Sabar Mera Na Aazmao Tum

Eid Aayi Hai Milne Aao Tum

Sab se Milna Eid Manana, Khoob khushi Ke Naghmey Gana..!!!

Sab se Milna Eid Manana, Khoob khushi Ke Naghmey Gana..!!!

Jo Gham Ke Maarey Hain Becharey Un Ko Lekin Bhool Na Jana..!!!

Ye bhi acha howa Ye Eid ab k Tanha guzri.

Ye bhi acha howa Ye Eid ab k Tanha guzri.

Galay lag k bohat rotay agar jo aap aa jatay.

Yaadon Ki Parhte Hue Aaj Ik Kitaab

Yaadon Ki Parhte Hue Aaj Ik Kitaab

Eid To Guzray Gi Meri Kamray Mein

Aaj Kay Din Bhi Tera Milne Se Inkaar Huwa

Aaj Kay Din Bhi Tera Milne Se Inkaar Huwa

Eid Kay Din Teri Dehleeez Ka Deedar Huwa

Wednesday 6 July 2016

Us se milna to usay Eid Mubarak kehna.

Us se milna to usay Eid Mubarak kehna.

Ye bhi kehna k Meri Eid Mubarak kar day.

Tuesday 5 July 2016

Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi,

Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi,
Aana chahoon jo tere pass to aaon kaise,

Meri har saans amanat hai teri yaadon ki,
Toot ke is se zeyada tujhe chahoon kaise..

Kitne Eidein Guzar Gaye Tum Bin

Kitne Eidein Guzar Gaye Tum Bin
Ab Khuda Ke Liye Na Tarpana

Dekho Eid Pir Aane Wali Hai
Eid Ke Sath Tum Bhi Aa Jana

Dil Say jo Chahtay Ho Maang Lo Khuda Say

Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko
Dheeray Say Ya Hawa Kuch Keh Jaye Apko

Dil Say jo Chahtay Ho Maang Lo Khuda Say
Hum Dua Kartay Hain Mil Jaye Wo Apko

EID MUBARAK

Nazar ka Chain Dil ka Suroor hoty hen,

Nazar ka Chain Dil ka Suroor hoty hen,
Kuch Aisy Log Jahan me Zarur hoty hen,

Sada Chamkta rahy Unki Eid ka Tehwaar,
Qareeb Reh ker bhi Hum se Door hoty hen..!

4U..
EID MUBARAK

Kabhi iss tarah se bhi eid kar,Abhi zid na kar dil-e- bekhabar,

Kabhi iss tarah se bhi eid kar,
Abhi zid na kar dil-e- bekhabar,
Ke pass-e- hujoom sitam� giraan,
Abhi kon tujh se wafaa kare,
Abhi kiss ko fursaten iss qadar,
Ke samaitt kar teri kirchiyaan,
Tere haq main khud se dua kare,

Abhi zid na kare dil-e- bekhabar,
Ke tah-e- ghubaar e gham-e-jahan,
Kahan kho gaye tere chaaragar,
Ke raah-e- hayaat main raayegaan,
Kahan so gaye tere humsafar,

Abhi ghamgusaron ki chott seh,
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh,
Abhi zid na kar mere be-nawaa,
Abhi ho sake to sahii mere,
Sabhi khawb raakh main daffan kar,
Abhi ho sake to yeh soch le,
Ke tuluu-e-ashq se paishtar,
Kahin dard hai to huaa kare,
Koi chott hai to khila kare,
Kabhi yun bhi ho ke sar-e-uffaq,
Tere dukh ka chaand dammak uthe,
Koi tees khud se chamak uthe,

Kisi sheher-e-zakhm farosh main,
Koi zakham khud se khareed kar,
Sabhi akss khud se khurachh kabhi,
Kiisi aayine pe na deed kar,
Kabhi yuun bhi jashn-e-turb mana,
Kabhi iss tarah se bhi eid kar�

Mere wajood me mojood

Mere wajood me mojood.

Ek shaks.. La mehdood..

Furqton ke rozay rakh raha hoon barson se,

Furqton ke rozay rakh raha hoon barson se,

Chaand bhi nahin hota, Eid bhi nahin hoti..

Dhanak Rang Chooriyan PehnaySajay Hon Hath Mehndi Say"

"Dhanak Rang Chooriyan Pehnay
Sajay Hon Hath Mehndi Say"
"Kabhi Dheeray Say Tum Keh Do
Tmhain Ho EID Mubarak"
"Jo Teri Deed Ho Jaye
To Meri EID Ho Jaye"

Monday 4 July 2016

Try Everything #SOL16

"...Sometimes we come last but we did our best.
I won't give up, I won't give in. 
Till I reach the end, then I'll start again. 
No, I won't leave. 
I want to try everything. 
I want to try even though I could fail." 
-"Try Everything", Zootopia theme song



Comfort zones are, well, comfortable. Safe. Secure. Risk-free. Doing what you've always done can be quite appealing, when the flip-side is trying something new and unfamiliar.

Yet. 

My greatest moments of growth, of making memories, of becoming more than I thought I could be, the moments that changed the trajectory of my life- have always occurred OUTSIDE of my comfort zone. The moments where I was scared and uncomfortable, where a deep breath was needed and a leap of faith was taken. 

This summer has presented me with a few opportunities that are exciting...but frightening. Dreams of mine possibly coming true, pushing myself to grow as a teacher and presenter....but I am scared. What if I get it wrong? What if I let people down? What if I am not good enough for these opportunities? What if I give it my all and still fail? 

My new favorite song, "Try Everything", from Zootopia, is perfect for growth mindset conversations, as well as the constellation of stances discussed in Mraz and Hert's Mindset for Learning. Optimism, resilience, flexibility, persistence, empathy- it's all there. Plus, it's a really catchy song. As I've been bopping along to it in the car, I've been thinking how it's a song that makes me feel light and enthusiastic and brave. I need to feel all of those things as I push myself to be more, to grow, to take chances, and to believe in myself. I want to try everything. And I want my students to try everything, too. 

Tomorrow, I will be co-facilitating the Long Island Writing Project Summer Mini-Institute with an incredible educator, Ms. Lauren Jensen (recent recipient of the Milken Educator Award, thank you very much). We will be sharing a lot of ideas for teaching writing in the digital age and ways to grow as an educator. I will specifically be sharing about Twitter and blogging. I hope the educators joining us will take a deep breath and give it a go- be ready to "try everything." As you sail along in your summer, I hope you are also finding ways to tiptoe, step, or leap out of your comfort zone, too. (Leave a comment and share your story!)




Saturday 2 July 2016

Dil k0 seeeekh Per Rakh Kr Bh0on Dijiye...

Dil k0 seeeekh Per Rakh Kr Bh0on Dijiye...
Per Khudara M0habbat Na Kijiye...

Allah humein mila de"

Raat ka akhri pehar tha
Main ne ussy bhulny k irady se wazu kiya.

Do rukaat namaz parhny k baad
Dua k liye hath uthaye he the k
Be sakhta zuban se nikla

"Allah humein mila de"

Ishaq hai ya ibadat kuch samajh nahi aaya,

Ishaq hai ya ibadat  kuch samajh nahi aaya,

Ek khubsurat khwab ho tum Jo dil se nahi jata.

Masroof Zindagi MeiN Teri Yaad Ke Siwa,

Masroof Zindagi MeiN Teri Yaad Ke Siwa,

Aata Nahi Hai Koi Mera Haal Poochne.

Humne kanton ko bhi narmi se chua hai aksar.

Humne kanton ko bhi narmi se chua hai aksar.

Log bedard hain phulon ko masal dete hain.

Mujhko dushman ke iraado pe bhi pyar aata hai

Mujhko dushman ke iraado pe bhi pyar aata hai 

Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di

Hataa kar zulf chehre se na chhatt par shaam ko Janaa....!!

Hataa kar zulf chehre se na chhatt par shaam ko Janaa....!!
.
.
Kahin koi Eid na kar le abhi Ramzaan baki hai..!!

Kabhi poori nahi hoti.

Kabhi poori nahi hoti.

Mohabbat woh zarurt hai.

Mil kar un se kya hua hasil...

Mil kar un se kya hua hasil...

Muft men jii udaas kr bethy...

Kami Nahi Hai Kisi Cheez Ki Magar Aksar..

Kami Nahi Hai Kisi Cheez Ki Magar Aksar..

Akele Baith Ke Roya Hun Zaar Zaar Bohat..

Friday 1 July 2016

Raaas rehti hai Mohabbat bhi kaii logon ko.

Raaas rehti hai Mohabbat bhi kaii logon ko.

Wo bhii Arsho'n se utaare to nahi hote na.

Mujhse behter ki tamanna usey le dhobay Gi.

Mujhse behter ki tamanna usey le dhobay Gi.                                                 

kiya bura hai k Wo Mujh py Qinaa'At kar le.

Mujhe uski Mohabbat de Mere Malik .

Mujhe uski Mohabbat de Mere Malik .

Jise Tujhse .... Mohabbat hai !

Tu bhi hamein bin dekhe, guzar jayega ek din

Tu bhi hamein bin dekhe, guzar jayega ek din 

Kuch soch k hum bhi tujhe awaaz na denge :(

Kisi k yun bicharne se Kisi k yaad aane se

Kisi k yun bicharne se
Kisi k yaad aane se
Bohat se log rotay hain.
K Rona eik riwayat hai
Riwayat Torr jata hun

Tumhari yaad aane par
Main aksar muskorata hun

Is Eid Pay Eidi Main Koi Mujh Ko Dila Day.

Is Eid Pay Eidi Main Koi Mujh Ko Dila Day.

Na Chaand
Na Sitaray.
Bas Eik Sath Tumhara.

Thori Eidi Mere Liye Bhi.

Thori Eidi Mere Liye Bhi.

Mere To Maa Baap Bhi Nahi Hain.

Mujhe is Eid pay Eidi chahiye hai.

Mujhe is Eid pay Eidi chahiye hai.

Aur us Eidi mein Sirf Tum.

Eid sar par hai our

Eid sar par hai our.

Mere Chand ki khabar tak nahi.

Tuesday 28 June 2016

Summer Is...#SOL16

Summer is shrugging off the school year stress like a cardigan that is no longer necessary. 

Summer is trading in my work bags full of lessons, papers, and memos for beach bags full of superhero towels, sunscreen, and flip flops. 

Summer is nights on the screened in porch and books just for fun, quiet except for the hum of the ceiling fan. 

Summer is pool passes and camp schedules, library visits and play dates.

Summer is our backyard swing and sitting with my two children, talking about nothing...and everything.

Summer is blowing bubbles and sidewalk chalk, fireflies and fireworks. 

Summer is a late dinner on the water, fancy drinks, no regrets. 

Summer is peaches and cherries, watermelon and pineapples.

Summer is the smell of barbecues and red, white, and blue dresses, flags waving. 

Summer is freedom.

Summer is renewal.

Summer is here! 





Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kiyun hai?

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kiyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?

Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua'n dhua'n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa'n mujhy raas hai tou kyun hai?

Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?

Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?

Mery tan-bar'hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?

Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?

Tera kis ne dil bujhaya, Mery 'Aitbaar Sajid'
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ?

Dil Mein Kaanto'n Si Khalish Rakhtay Howy..

Dil Mein Kaanto'n Si Khalish Rakhtay Howy..

Log Miltay Hain Tar'o'Taza Gulabo'n Ki Tarha....

Kuch to sambhal k rakhtay...

Kuch to sambhal k rakhtay...

Mujhay bhe kho diya tum nay...